Thursday, December 22, 2016

Kaan Ke Dard Ka ilaj In Urdu Ear Pain Solution In Hindi Treatment

12:04 AM
Kaan Ka Dard Masail Aur ilaj:
Kaan Ke Dard Ka ilaj In Urdu Ear Pain Solution In Hindi Treatment: Kaan bhi deegar aaza ki manind hamaray jism ka aik ahem aur naazuk hissa hota hai aur Allah taala ki ataa kardah es azeem Nemat ki hifazat bhi itni hi zurori hai jitni ke dosray aaza ki kaan ka dard shadeed noiyat ka hota hai aur es ki aik barri wajah kaanon ki safai ka khayaal nah rakhna hai kaan ka dard konse masail ki wajah se hota hai aur es ka ilaaj kya hai?
  1. Kaan ka dard mukhtalif wajohaat ki bana par hota hai koshish kiijiye ke kaan ko bilkul saaf rakhain  bilkhushoos chotey bachon ko nehlaaty hue ahthyat se kaam lain. 
  2. Bachon ko nehlanay se pehlay un ke kaan mein roi laga dain kaan ko hamesha naram cheez ke sath saaf kiijiye kaan ko cotton buds ki madad se saaf karen aur usay bohat andar taq nah le jayain. 
  3. Kabhi bhi kaan mein koi tail ya phir koi teeli waghera nah dalain agarchay pehlay log kaan mein tail daaltay they lekin ab zamana aur hai aur ab masail bhi ziyada hain aaj hum nahi jantay ke kaan mein jo tail dala ja raha hai woh kitna khalis hai? ya es mein kya cheez mili hui hai?  
  4. Kisi bhi pin waghera ki madad se kaan ko saaf karne se guraiz karen aur kaan ko bohat ziyada zor se bhi saaf nah karain. 
  5. Nahate waqt agar kaan mein pani chala jaye to woh andar reh jata hai jo baad mein infection ka baais bantaa hai es ke ilawa hum picnic par bhi apne kaanon ka khayaal nahi rakhtay aur wahan bhi hamaray kaanon mein namak ka pani aur matti daakhil ho rahay hotay hain. 
  6. Koshish kiijiye ke picnic par jatay hue kaanon ko zaroor dhaanp lain aur picnic se anay ke baad un ki safai bhi karain es tarhan aap kaanon ke mutadid amraaz se mehfooz rahen ge.
  7. Kaan ka dard intahi shadeed hota hai jub kay kaan mein peep ya phir koi infection bhi ho sakta hai.
  8. Agar bachon ko kaan ka infection musalsal hai tu inhen 15 din taq sharbat ashba pilain yeh sharbat rozana subah aik chamach aur shaam ko aik chamach pilana hai agar infection phir bhi khatam nah ho tu kisi mualij se rujoo karain.
  9. Es ke ilawa agar barray afraad ke kaan mein dard rehta hai aur kaan se pani aata hai to inhen chahiye ke woh kuch dinon taq HUB masfi khoon ki golian estemaal karain yeh golian har company banati hai es liye aasani se mil jati hain.
  10. Aaghaz mein 2 golian subah aur 2 golian shaam ko khaani hain aur baad mein rozana subah o shaam aik aik goli khaani hai yeh golian 15 se 20 din taq khaani hain es ke ilawa kaan ko khushk rakhen aur kaan mein koi teeli waghera estemaal nah karain. 
  11. Agar es amal se bhi kaan ka dard theek nah ho tu zaroor mualij se rujoo karain kaan ke dard ko mamooli nah samjhain kyun kay yeh agay chal kar aap ke liye kayi masail peda kar sakta hai.

Thursday, December 8, 2016

Fish Oil Benefits In Urdu Machli Ke Tail Ke Faide Cod Liver Oil Benefits In Hindi

11:40 AM
Fish Oil Benefits In Urdu Machli Ke Tail Ke Faide Cod Liver Oil - Machhli Ke Tel Ke Fawaid In Hindi:
Reserch se yeh baat saabit hoyi hai ke nojawanon mein jo log kisi qisam ka splimnt estemaal nahi karte un mein schizophreniaka khatrah bohat barh jata hai machhli ke tail ke capsol ya machhli ka tail insani sahet ke liye behtareen hai esi liye jo log apni ghiza mein es ka estemaal nahi karte un ko chahiye ke woh es ke supplement zaroor estemaal karain taa ke dimaghi bimarion se mehfooz reh sakain reserch ke mutabiq machhli ke tail ke splimnt lainay ka matlab hai ke aap apne aap ko sangeen dimaghi bimarion se bacha lain machhli ke tail ki golian ya capsol un nojawanon ke liye bhi achay saabit ho satke hain jo dimaghi tor par pehlay se kamzor hain aik nai tahaqeeq jo "nature communication" ki taraf se ki gayi, ke machhli ke tail ki shohrat aik taaqatwar cicatrene therapy ke tor par bhi hai omega three fatty acid aam tor par saalmun machli ya makrele fish mein paaya jata hai agar un capsolz ko apni ghiza ka hissa bana liya jaye to yeh bohat behtareen assar dalta hai aur yeh anti dipression bhi saabit hota hai yeh jild ke liye bohat acha hai aur jild ko bhi dilkash aur Hassen banata hai.

Jaissa ke hum jantay hain ke munasib miqdaar mein durust tail aur chiknai ka intikhab aap ke jism par Umar ke asraat ko kum karne mein markazi kirdaar ada karta hai achi chiknai aap ke jism ko bhar janey ka ehsas muhayya karti hai aur yeh chiknai ko jalanay ka baais bhi ban sakta hai mutalay se pata chalta hai ke hamari ghiza mein zurori chiknai ya achi chiknai ki kya ahmiyat hai, aur yeh ke hamaray jismani nizaam ko dorust rakhnay ke liye kitni zurori hai aur hamain kis terhan bimarion se bachati hai agar achi chiknai aur nuqsaan da chiknai ko pehchan liya jaye to zindagi bimarion se dor guzar sakti hai machli ke tail ke baray mein kaha jata hai ke yeh chiknaion mein sab se behtareen chiknai hai yeh tail machli se haasil kiya jata hai, es mein barri miqdaar mein omega 3 fatty acid paya jata hai, yeh baat tamam tehqiqaat se saabit ho chuki hai ke yeh dil aur dimagh ki sehat ke liye behtareen hai es ke ilawa yeh aasabi nizaam ko bhi mutharrak karta hai fish oil ke supplement se yeh bhi paya gaya hai ke es se yad dasht bhi achi hoti hai esi liye agar kisi ko bhoolnay ka marz hai tu es ki yad dasht mein bhi es se behtari layi ja sakti hai.

Yeh Fazai Alodgi Se Mehfooz Rakhta Hai:
Kya aap yeh baat jantay hain ke machli ke tail ka aik faida yeh bhi hai ke yeh aap ke dil ko fazai alodgi se bachata hai aik american tahaqeeq ke mutabiq yeh baat bilkul sach hai 29 sehat mand darmiyani umar ke afraad ko 4 hfton taq 3 gram machhli ka tail ya plasbo rozana diya gaya aur es ke ilawa un ko kharab alouda fiza mein 2 ghantay ke liye rakha gaya tahaqeeq karon ne yeh paya ke un logon par jinhon ne machli ka tail estemaal kiya un ki sehat par woh manfi asraat nahi muratab hue jo ke un logon par hue jo ke sirf plasbo estemaal kar rahay they omega 3 fatty acid supplement aap ke dil ko fazai alodgi se mehfooz rakhta hai.

Yeh Earthrised Ke Khatray Ko Kam Karta Hai:
University of brazil ki tehqiqat ke mutabiq omega 3 fish oil joron ke dard ke khatray aur es ki alamaat ko kum karta hai jin logon ki ghiza mein omega 3 fish oil shaamil rehta hai un mein un logon ki nisbat earthrised ka khatrah un logon ki nisbat kum ho jata hai jo fish oil estemaal nahi karte agar aap rozana fish oil estemaal karte hain tu aap har qisam ke joron ke dard se apni jaan churva satke hain, ya kum az kum joron ki soojan ko bohat had taq kam kar satke hain.

Yeh Umar Ke Asraat Ko Zael Karta Hai:
Tehqiqat se yeh baat sabit hoti hai ke aap ke khaliyat ka nizam jub kharab honay lagta hai aur woh khaliyat ko dobarah nahi bana pata tu es se ke chehray aur jism par Umar ke asrat zahir hona shoru ho jatay hain, 2010 ki aik tahaqeeq ke mutabiq fish oil se khoon ka level aur un khaliyat ki ya cromosomas ki kami kami ka 5 saal taq jaiza liya gaya, to omega 3 fatty acid mein es ki hifazat ka ansar paaya gaya jis se yeh Umar ke asraat ko zael karta hai university of California, San Francisco ne 600 mareezon par tahaqeeq ki aur yeh paya ke mareezon mein machhli se haasil kiya gaya omega 3 acids blood levels ko barha kar un marezon mein bhi jo dil ki sharianon ke marz mein mubtala they, aur khaliyat ki toot phoot ke amal ko bhi rok deta hai agar machli jaisay ke saalman ko haftay mein agar 2 dafa liya jaye to yeh omega 3 hasil karne ka behtareen zareya hai.

Zayed Chiknai Ko Jlata Hai:
University of south Australia ki tehqiqat ke mutabiq jo ke unhon ne jism par ghiza aur exercise ke asraat par ki unhon ne yeh paya ke fish oil supplement aur exercise mil kar chiknai ko taizi se jalatay hain es study ke douran motay aur over weight afraad ke nizam inhzam ka bhi jaiza liya gaya, aur es mein sab se bura risk dil ki bimarion ka tha un ko omega 3 fish oil ke sath sath. Arabic exercise haftay mein 3 dafa 12 hafton taq karwai gayi, jism mein mojood chiknai, khaas kar pait par mojood chiknai aahista aahista kum hona shoru ho gayi un dono ke milaap se chiknai ghatna shoru ho gayi lekin un ki nahi hui jinhon ne sirf fish oil liya ya sirf excer size ki.

Dimaghi Taaqat Aur Yad Dasht Ko Behtar Banata Hai:
Research ke mutabiq ensan ke adraki amal aur fish oil ke darmain bohat achi musbet dosti hai khaas kar dimaghi structure ke sath es mutalay se yeh bhi pata chala ke fish oil ke estemaal karne walon mein adraki amal bohat acha ho jata hai aur es mein behtari aati hai aik munfarid cheez yeh pata chali ke aik bohat wazeh hum ahangi fish oil aur dimagh ke un hisson mein payi gayi jo sochnay aur yaad rakhnay ke liye estemaal hote hain aur dosray lafzon mein fish oil ke estemaal se dimagh ke sukarnay ke amal ko bhi roka ja sakta hai jin ki ghiza mein omega 3 fatty acid ki kami rehti hai un ki dimaghi salahiyaten ziyada jaldi mutasir hone lagti hain aur woh yad dasht ki kamzore ka bhi shikar ho jatay hain.

Kamzor Pathon Ki Hifazat:
Agar aap apni ghiza mein fish oil ka estemaal karain tu yeh aap ke pathon ko bhi mazboot banata hai aur un ki hfazt karta hai yeh aam tor par cancer ke mareezon ke sath hota hai ke kimo thirapi ke amal ke baad un ke pathay bohat kamzor ho jatay hain es trial mein 16 marizon ko shamil kiya gaya jo ke fish oil letay they aur 24 mareez aisay shamil kiye gaye jo ke fish oil nahi letay they jo mareez fish oil nahi letay they unhon ne taqreebun 2-3 kg wazun ghataya, jub kay jo mareez fish oil ka estemaal kar rahay they unhon ne apna wazan barqarar rakha, aur es ka aik dilchasp pehlu yeh tha ke 69 feesad mareez aisay bhi they jo ke fish oil group ke they aur jin ke pathon ke gosht mein izafah huwa tha.

Yeh baat yaad rakhain ke pathay meeta bolick tor par active hotay hain aur calories jalatay hain chahay aap so hi kyun nah rahay hon fish oil ke estemaal se aap ke pathon ki hifazat hoti hai, chahay aap dieting hi kyun nah kar rahay hon.

Hadion Ki Sahet Mein Behtari:
Jub yeh hadion ki sahet ki bahaali ki taraf ata hai to wahan bhi sirf calsium, vitamin d, aur megnisium ki zaroorat nahi parte balkay es ke liye omega three fatty acid dha hadion ki sehat ke liye intahi zurori hai researchers es ka mawazna omega 6, dpa aur omega dha se karte hain jo ke lambi hadion ki nash-o-numa ke liye bohat zurori hai result se pata chala ke jin logon ne apni diet mein es ka estemaal rakha un ki hadion ki sehat aur nash-o-numa mein behtari payi gayi.

Hari Mirch Ke Faide Green Chilli Benefits In Urdu Sabz Mirch Khane Ke Fayde Hindi Labh

11:31 AM
Hari Mirch Ke Faide Green Chilli Benefits In Urdu Sabz Mirch Khane Ke Fayde Hindi Labh - Hari Mirch Khana Hazum Kare Aur Bhook Bharhaye: 

Bhook Lagne Ka ilaj: Hazaron saal pehlay ensaan khoraak ko hazUm karne ke liye mirchon ko mukhtalif shaklon mein estemaal karta chala aa raha hai mahireen ny hari mirch ko aik phal qarar diya hai aur khayaal zahir kiya hai ke hari mirch ke khaas jazo ko barqarar rakhtay hue es ki talkhi ko khatam karne ke liye mirch ki aik nai nasal tayyar ki ja sakti hai jis se motape ko kum karne ke liye bator phal estemaal kiya ja sakta hai hamaray yahan hari mirch ke baghair khanay mein mazay ka tsawr hi nahi kiya ja sakta yeh khanay ko tu mazedar banati hi hai, sath hi sehat ke liye bhi bohat faida mand hai yahi wajah hai ke cheeni adwiyaat munasib Amal inhizam ke liye hari mirch ke estemaal ki tajweez karti hain, kyun kay yeh maiday se niklny wali rtobtoon ke bahao ko behtar banati hai aur unhein mutharrak karti hai es ke ilawa mirchain, khana hazem karne aur bhook badhaane mein bhi madad deti hain qadeem zamane ke log mirchon ko baqaida adwiyaat ke tor par estemaal karte they.
University of California ke tibbi mahireen ke mutabiq jo log hari mirchon ki talkhi bardasht nahi kar saktay woh mirchon ke aik khaas jazo' ' cepsiceen ' ' se tayyar shuda golian estemaal kar saktay hain un ka yeh bhi kehna hai ke mirchon ki hararat ko mukhtalif janwar charbi pighalnay ke liye estemaal karte hain aur jungli satah par mirchon ki nasal ke poudoun ko khaas tor par es waqt estemaal karte hain jub un ke maiday ziyada khanay ki wajah se kharab hotay hain aayye es mazmoon mein hum aap kohre mirch ke deegar fwaid se aagah karte hain. 

Chillies Ke Fawaid: 

  1. Chillies mein antioxidant hota hai jo jism ki difai salahiyat ko berhata hai es se cancer se larnay mein bhi madad millti hai. 
  2. Chillies mein vitamin si bharpoor paaya jata hai, jo ke qudrati mdafati nizaam ko behtar karta hai es se bimarion se larnay ki salahiyat behtr hoti hai.
  3. Hari mirch mein vitamin e mojood hota hai, jo jild ke liye sehat bakhash qudrati tail banata hai es se jild mulaem aur achi ho jati hai.
  4. Hari mirch se ghizaiyat to millti hi hai, sath hi yeh calorie ke baghair hoti hai hari mirch mein bilkul calorie nahi hoti.
  5. Chillies mein anti bacterial khususiyaat payi jati hain jis se infection nahi hota hari mirch khanay se jild prhone walay amraaz se nijaat millti hai.
  6. Khaano mein hari mirchon ka estemaal maiday ke dard gas aur maror ke liye intahi mufeed hai.
  7. Garmi ke dinon mein hari mirch pyaaz ki tarhan lau se bachati hai.
  8. Nazla o zukam mein mirchon ka estemaal be had faida mand hai, kyun ke mirchon ki taizi aur teekha pan naak aur galaay se niklny wali rtobtoon ko mutharrak karta hai, jis se naak ki saans lainay wali naalian saaf ho jati hain aur saans lainay mein dushwari ka saamna nahi karna parta.
  9. Hindustan mein aksar gaon ke log pheproon naak ya seenay ki bandish ya jakar janay ki soorat mein mirchon ko baqaida tor par sabzi mein estemaal karte hain.
  10. Haliya tahaqeeq se bhi saabit ho gaya hai ke mirch ka estemaal mareez ko heart attack se bachata hai, kyun ke mirchain khoon mein cholesterol ki miqdaar ko kum kar deti hain es ke ilawa mirch fasid madon ko tahleel khoon ko munjamad karne ka sabab bantay hain.
  11. Es ka estemaal jism ke mdafati nizaam ko mazboot banata hai aur es mein mojood vitamin si sangtray mein mojood vitamin se 6 guna ziyada hota hai.

Fennel Seeds Benefits In Urdu Sonf Ke Faide Saunf Jari Booti Ke Labh In Hindi

11:20 AM
Fennel Seeds Benefits In Urdu Sonf Ke Faide Saunf Jari Booti Ke Labh In Hindi - Sonf Be Shumaar Fawaid Ki Haamil Jari Booti:
Sonf (aniseeds) aik behtareen aur sasti jari booti hai jo hamaray bawarchi khanaay ki zeenat honay ke sath sath hamari bohat si bimarion ka ilaaj bhi hai ess ka sub se ahem kaam khanay ko khushbodar bnanahe aur apni khusbhoo saanson mein mahkhane ke sath sath yeh bd hzmi gas aur pait ke mutadid amraaz ka ilaaj bhi hai waisay tu yeh ghar mein aam estemaal honay wali aam si magar be had kaar amad jari booti hai es jari booti ko hum bachpan se apni nani dadi ke paan daan mein bhi dekhte arhay hain.

Europi mumalik mein log sonf, babona, soya, dhaniya aur suntay ke post ke joshandey ko hazme ke liye bohat mufeed qarar dete hain aik maghribi muhaqiq ne sonf ki pishaab aawar salahiyat ki tareef karte hue likha ke sonf alaat bol, gurday masanay ka waram dor karne ke liye bohat mo-asar hoti hai usay baqaida estemaal karte rehne se gurday, masanay mein pathri nahi banti aur agar ban bhi gayi tu es ke estemaal se pathri kharij ho jati hai sonf doodh pilanay wali maa ke liye bhi bohat mufeed samjhi jati hai es ke estemaal se doodh ki miqdaar barh jati hai sonf mein zanana hormone, estrogen jaisi khasiyat bhi hoti hai es lehaaz se yeh khawateen ke liye bohat mo-asar saabit hoti hai sun yaas ki takaleef se nijaat ke liye atbae deegar pishaab aawar dawaon ke sath sonf estemaal karte hain tib yonani ki mashhoor dawa sharbat bazori mein sonf ke beej aur es ki jarr bhi shaamil ki jati hai. 
  1. Aniseeds , badam, Misri hum wazan pees kar aik aik chamcha sufoof doodh ke sath subah o shaam estemaal karain nazar ki kamzoree dor karne ke liye faida mand hai.
  2. Sonf 12 gram, ajwain 12 gram, kala namak 6 gram saaf kar ke bareek pees lain aur khanay ke baad estemaal karain es ke estemaal se maida durust ho jaye ga bhook barhay gi aur khana bhi jald hazem hoga.
  3. Aik gram sonf ko adhay glass pani mein khoob ghot lain, es mein shakar aur safaid mirch ka sufoof shaamil kar ke subah o shaam pyin, es se sar ke dard aur chakkar mein afaqa hoga.
  4. Nazla ke liye aik tola sonf coat kar aadh kilo pani mein bigho kar 3 ghantay baad josh dain, aadha pao reh jaye to cheeni mila kar subah shaam piyain.
  5. Asthma mein aik tola sonf aadha sair pani mein josh dain aadha reh jaye, shehad mila kar pila dain har qisam ki khansi mein mufeed hai.
  6. 8 lowng 2 kilo pani ka joshanda banayen, pao bhar reh jaye to dhai tola shakar mila kar chhaan kar garam garam pilain aur chadar orha dain, paseena aa kar bukhaar utar jaye ga.
  7. Aniseeds 5 gram, alaichi sabz 3 Adad , sonth 2 gram, darchini 2 gram, 2 khoonjaan gram tamam dawa ko chaye ke qhoh ki terhan tayyar kar ke subah o shaam pyin yeh dil ko qowat o Farhat deti hai.
  8. Aniseeds aur gur ko hum wazan le kar pani mein josh day kar name garam peenay se haiz ki be qaidgi dor ho jati hai es ke liye 5 se 7 gram sonf estemaal karna chahiye.
  9. Khana hazem karti hai aur bhook barhati hai jub kay maiday ki jalan kum aur pyaas bhujati hai, benaye ki taaqat mein izafah karti hai.
  10. Aniseeds pait aur daant ke dard ke liye bhi mufeed hoti hai.
  11. Aadha chamach sonf, chand pattay podeenay, do hari alaichi aur aik inch pyaaz ka tukda aik glass pani mein daal kar pakayen, jub aadha cup reh jaye tu qehwy ki tarhan pi lain yeh dast aur ulti mein be had mufeed hai.

Pistachio Benefits In Urdu Faide Pista Ke Labh In Hindi Health Tips

11:10 AM
Pistachio Benefits In Urdu Faide Pista Ke Labh In Hindi Health Tips - Pista Khayen Sahet Banayen: Muktlif aqsam ke khanay khana aur es ke sath baqaida jismani sargarmi ko jari rakhna aik sehat mand trzِ zindagi ke liye zurori hai es baat ka bohat kum afraad ko ilm hai ke muthi bhar pistay khalena behtar sehat aur khoubsurti ka anokha raaz hai kyunkay aik so gram pistay ki giri mein 594 hrare hotay hain pista ka estemaal mukhtalif suites ke hum rahay sadiiyon se mustamil hai halwa, zarda aur kheer ka laazmi juz hai namkeen bhana huwa pista intahi lazzat daar hota hai aur deegar magzeaat ki tarhan bhi estemaal kiya jataa hai jadeed tibbi tahaqeeq ke mutabiq din mein mamooli miqdaar mein pista khanay ki aadat ensaan ko dil ki bemari se dor rakh sakti hai.
Pista (pistachio) khoon mein shaamil ho kar khoon ke andar cholesterol ki miqdaar ko kum kar daita hai es ke ilawa khoon mein shaamil muzir Ansar leyoteen ko bhi khatam karne mein madad deta hai tibbi mahireen ka khayaal hai ke pista aam khoraak ki terhan khana asaan bhi hai aur zaiqay daar ghiza bhi agar aik aadmi makhan, tail aur paneer se bharpoor ghizaon ke baad halki ghizaon ki taraf aana chahta hai tu usay pista khanay se aaghaz karna chahiye aayye hum aap ko pista ke kuch cheeda fawaid se aagah karte hain umeed hai aap es se istifada karain ge. 
  • Pistachio ke chilkay ka sufoof bana kar rozana subah o sham 4 mashah pani ke sath estemaal kiya jaye tu maida, antadiyon, dil, jigar aur danoton ke liye be had mufeed saabit hota hai.
  • Puranay nazla, zukam, dard sir, dard kamar aur jismani kamzoree ki soorat mein maghaz pista aik tola makhan daal o tola aur cheeni aik tola ragar kar chtaany se be had faida hota hai.
  • Piston ke baqaida estemaal se dil ki dharkan aur blood pressure ki satah kum ho jati hai jis se zehni tanao mein bhi numaya kami hoti hai. 
  • Pistay ke phool balgham ko dor karne ke liye deegar adwiyah ke hamrah estemaal mein laaye jatay hain aur khansi ke liye be had mufeed hain.
  • Wabai amraaz mein maghaz pista aik tola aur koza Misri hum wazan ka estemaal be had mufeed hota hai.
  • Balon ko barhaane aur mulaem karne ke liye pista ka tail estemaal kiya jata hai.
  • Pistachio ko bareek kaat kar mthayyon par lagaya jata hai jis se mthayyan khush zayeqa ho jati hain.
  • Maghaz pista ko gosht ya daal mein mila kar pakaya jata hai jis se saalan be had lazeez ho jata hai.
  • Pista ka tail har qisam ki kharish par lagana be had mufeed hai.
  • Pistachio maqwi dil o dimagh, maqwi zehan aur Hafza bhi hai.
  • Yarqaan jaisay jaan lewa marz mein pista ka estemaal be had mufeed hai.
  • Pista agar cheeni ya koza Misri ke sath khaya jaye to jism se zahreeley madon ko dor karta hai.
  • Maida ke nizaam ko durust karta hai aur maiday ko taaqat deta hai.
  • Jigar ki sardi ko rafa karta hai aur jigar ka saddah kholta hai.
  • Pistachio ka baqaida estemaal gurdon ki kamzoree ko dor karta hai.
  • Nazla o zukam mein mufeed hai es ke ilawa qay aur matli, barhi hui tali aur balgham ko kharij karta hai.

Dry Fruits Benefits In Urdu Dry Fruit Ke Faide Khushk Mewa Jaat Se ilaj

11:02 AM
Dry Fruits Benefits In Urdu Dry Fruit Ke Faide Khushk Mewa Jaat Se ilaj: Khushk Mewa Jaat Mein Chupa Mozi Amraz Ka Ilaj
Mosam e sarma ka aghaz ho chuka hai Pakistan mein November se le kar March ke wast taq sardi ka mosam rehta hai yeh hum par Allah ka bara karam aur ahsaan hai ke es ney besh baha naematain hamaray liye peda farmaen aur es ney har mausam ke liye allag allag sabzian aur phal ugaye taakay hum un ke zaiqon se lutaf andoz ho sakain aur un ke andar chupay be shumar fawaid hasil kar sakain.

Sardiyon ki amad ke sath hi khushk mewa jaat ki bahar aa jati hai yeh meway mukhtalif qisam ki mithi dishes mein bhi istemal hotay hain khushk mewon mein chiknai aur hararay wafar miqdar mein paye jatay hain es liye agar unhein aitdal se istemal kiya jaye to be had faida dete hain.

Deen o tib ka choli daman ka sath hai hamaray khaliq o malik ney hamari afiat ka kis qadar khayal rakha hai ke mosam e sarma mein khushk mewa jaat ki sorat mein hamein tarhan tarhan ki ghizaiyat bhari soghat se nawaza hai jin ke zariye hum mukhtalif bimarion se nijat hasil kar saktay hain kyun kay unhein mewa jaat mein chupa hai hamaray bohat se amraz ka ilaj.



Moong phali - Sardiyon mein peanut phali ka istemal insani jism mein nitrogen aur lahmiat ki kami ko pora karti hai aur yeh woh khorak hai jo aik Ameer admi se le kar jhonpari mein rehne wala ensaan bhi istemal karta hai aur behtaren lahmiat ka khazana hai aam tor par logon mein yeh shikayat hoti hai ke moong phali khanay se balgham ho jata hai achi bhoni hui moong phali balgham pida nhi karti es ke sath gur ka istemal zaror karen.

Kaju - Cashew nut mein gayain ke qemay jitna folad hota hai usay khanay se jism mein khoon ki kami door ho jati hai ye jism ki mamol ki afzaish ke liye az had mufeed hai yeh jism ke mdafati nizam ke liye bhi faida mand hai tahum high blood pressure ya dil ke marezon ke liye namkeen kajoo se parhaiz zurori hai kaju mein tanba aur mengnyz bhi khob hota hai yeh azlaat ke liye acha assar dalta hai kyun kay es mein phosphorus mengnyzyum vitamin bi aurfolait  ke husol ka bhi acha zareya hai kajoo se jism ki thakan dor hoti hai usay nehar munh shehad ke sath khanay se nasiyan ke marz mein afaqa hota hai es ke phal ka ras waram mein honay walay dard ke liye bhi mufeed samjha jata hai es kechilkon k ka tail sirka mein bigho kar hasil karte hain jo ke egzimaa mein malish karne se faida deta hai es ke maghaz ka morabba dil o dimagh ke liye taqat war hai jism ke masson aur phoray phansi ko hatane ke liye es ka tail lagaya jata hai es ka maghaz danton ki jaron ko honay walay dard se aram deta hai.

Akhrot - Hamaray haan riwayati tor par akhrot ke tail se pait mein dard ( maror ) baasor dast aur antariyon ki sakhti ko naram karne jaisi bimarion ka ilaaj kiya jata hai, taham hum aap ko yahan akhrot ke degar ahem fawaid ke bare mein agahi den ge.

Walnut mein shamil omega fatty acid Nami chiknai dimaghi amal ko behtar bana kar depration ka muqabla karne ki salahiyat mein izafah kar deti hai yahi nahi balkay akhrot qabz ki sorat mein fori aram pohanchanay ka bohat bara zareya hai yeh maiday mein poanch kar fuzla mein harkat peda kar kay usay agay ki taraf dhkil deta hai.

Akhrot mein shamil acid ghair zaruri aur ganday cholesterol ki satah ko kum karne mein nihayat Muawin hai jis ke bad sahet mand cholesterol peda hota hai jo qowat qalb ke liye nihayat mufeed samjha jata hai rozana sirf aik akhrot ka istemal jism ko high blood pressure ka muqabla karne ki taqat bhi faraham karta hai akhrot mein shamil zank, mignishim jaisay ajza insani jism ke liye nihayat zurori hain es liye haamla khawaten ke liye un ka istemal nihayat naffa bakhash hai khansi aur asthma ke ilaaj ke douran akhrot ka istemal nihayat mo-asar hai akhrot mein shamil ajza hadion ki mazboti aur nashonuma ke liye nihayat zurori hain akhrot mein melatonin ( aik qisam ka Zimad ) Nami acid mojod hota hai, jo jism ke androni nizam ke bohat se hisson ko chalanay ka zimma daar hai lehaza jab jism mein melatonin ki miqdar pori hoti hai to aap rat bhar pursukon neend le satke hain.

Anjeer - Anjeer ke istemal se aanten saf rehti hain khoon ka dabao normal rehta hai usay khanay se khoon ki kami ki shikayat dor ho jati hai yeh mewa saans ke marz ke liye bhi bohat mufeed hai. Aur ye figs pehphron ke marz ki bhi kayi shikayat dor hoti hain yeh joron ke dard ke liye bhi bohat mufeed hai jab kay jild ke amraaz mein bhi es ka baqaida istemaal intahi faida mand hai dar haqeeqat es meway mein qudrat ney hayateen, phosphorus, calcium aur folaad ko yakja kar diya hai yeh tamam ajzaa sahet bakhash honay ki wajah se taaqat mein izafah karte hain agar aap ke galay mein kharaash aur khansi hai to figs ko khoob chaba kar khayen.

Badam - Qawaay badni o dimaghi ka Muhafiz hai badan ko mota karta hai aankhon ko qowat deta aur qowat baah ko ziyada karta hai.

Pista - Pista taseer garam khushk dil dimagh maida zehan, haafza aur badan ko mota karta aur jigar ka saddah kholta hai.

Chilghoza - Pine nuts gurda masana aur qowat baah ke liye mufeed hai pathon ko taaqat deta hai aur saddah kholta hai.

Allah pak ki qudrat dekhieye ke yeh tamam meway sardiyon mein waafar miqdaar mein paye jatay hain jo insani jism ke andar nitrogen ke tawazun ko barqarar rakhtay hain sardi ki wajah se nizam inhizam ke sath dosray nizamon mein bhi taizi aa jati hai kyun kay jism ka darja hararat qaim rakhnay ke liye khushk mewa jaat bohat ahem kirdaar ada karte hain.

Sunday, December 4, 2016

Banana Benefits In Urdu Kele Ke Faide Hindi Banana Health Tips Sehat Weight

9:09 PM
Banana Benefits In Urdu Kele Ke Faide Hindi Banana Health Tips Sehat Weight - Keley Ke Chilkay mein Chupa Taqat Ka Khazana:  Kele Se ilaj Banana woh phal hai jo aap ko sehat aur taaqat bakhsnay aaya hai yeh aap ke liye aik perfact phal hai jo ke aap ki zindagi badal sakta hai kahin bhi kisi bhi waqt es ko mukhtalif qisam ke khanay aur peenay mein estemaal kiya ja sakta hai agar aap apne bachay ka doodh churrana chaah rahi hain tu bhi yeh aap ke bachay ke liye behtareen aur bharpoor ghiza hai, agar aap apne liye fori tawanai wali drink banana chahtay hain to bhi kelay mein doodh mix karain, blend karain, lijiye aap ki tawanai se bhari drink tayyar hai yeh picnic aur partys waghera ke liye bhi bilkul perfact phal hai jis ko cheelna, khana asan hai aur es ko khanay mein aap ke haath bhi kharab nahi hotay es ko baratna, estemaal karna asan hai waisay bhi es ki ghizaiyat ke baais es ka phalon mein allag hi maqam hai es mein bohat ziyada miqdaar mein potassium mojood hota hai jis ki wajah se yeh be shumaar bimarion se bachata hai iodine ki kami ko dor karta hai pathon ko mazboot karta hai es mein thos ghizaiyat ziyada aur pani kum hota hai.
Aap Ke Dil Ka Behtareen Dost:
Es ko agar potassium ka super fruit kaha jaye to beja nah ho ga kela high blood pressure ko kum karne mein bohat kaam aata hai yeh stroke aur heart attack se bhi bachata hai blood pressure ko aitdaal mein rakhnay ke liye doctors nah sirf namak ( sodium ) ke kum estemaal ka mahswara dete hain balkay high potassium lainay ki bhi takeed karte hain kelay mein potassium ke ilawa fibre, vitamin si, aur bi 6 bhi paaya jata hai jo ke dil ki sehat ke liye behtareen hai.
Sehat Bakhash Tawanai Ka Zareya:
Aap ne yeh mehsoos kiya ho ga ke jub bhi aap kela khatay hain aap ko apne andar taaqat o tawanai mehsoos hoti hai yehi wajah hai ke jo log apni khoubsurti aur fitness ko bohat ahmiyat dete hain woh umooman apne jim aur work out se pehlay 2 kelay kha lena pasand karte hain taakay un ki energy work out karte hue kum nah rahay aur blood sugar level barha rahay kela khanay se work out ke douran pathon ke khinchao ya es mein bal par janey ki bhi shikayat peda nahi hoti es ke ilawa raat mein sotay hue jin logon ki nas charh jati hai es se woh shikayat bhi dor ho jati hai.
Khush Rekhnay Wala Phal:
Kela aap ke depration ko bhi dor karta hai aur aap ko khush honay mein madad deta hai kyun kay es mein tryptophan paaya jata hai jo ke syrytotan mein tabdeel ho jata hai jo ke mood ko Khushgawar banane ka niyoro transmitter hai esi liye aap kela kha kar apna mood bhi Khushgawar kar satke hain es ki wajah yeh hai ke yeh phal aap ki blood sugar level ko barha kar aap ka zehni dabao khatam karta hai es ke ilawa jin haamla khawateen ko subah uth kar tabiyat boujhal aur kharab lagti hai un ko bhi kela khanay se afaqa hota hai. 

Zehni Dabao Se Nijaat:
Potassium ki munasib miqdaar lainay se aap ki dil ki dharkan sahih rehti hai aur es ki wajah se aap ke dimagh ko oxygen millti rehti hai apne jism ke pani ke tawazun ko durust rakhnay apne nizam inhazam ko sahih rakhnay mein bhi yeh madadgaar hai es ke ilawa es ki wajah se aap ke zehni dabao mein kami aati hai aur aap acha mehsoos karte hain.
Apne Aap Ko Mutharrak Aur Smart Banayain :
Koshish karain ke kisi imthehaan ya presentation pay janey se pehlay kela kha kar jayen kelay mein mojood potassium level aap ko alert, taiz, mutharrak aur smart rakhta hai aap ke sochnay samajhney ki salahiyat behtar ho jati hai aur aap apna behtareen kaam paish karne ke liye tayyar ho jatay hain.
Aap Ke Pait Ka Behtareen Muhafiz:
Kelay mein mein moojood hazam karne walay enzymes aap ke jism se tezabiyat aur bhaari ghiza jo ke hazam honay mein pareshan kun ho aisi tamam cheezon ko kelay mein mojood ajzaa jism se nikaal bahar kar dete hain qabz ya dast ki sourat mein yeh jab aap ke jism ko pareshan karte hain tu kela un dono sooraton mein es ko theek kar deta hai yeh nah sirf aap ke hazme ko dorust karta hai balkay aap ke electrolights ko bhi mehfooz rakhta hai aik qudrati paribayotik aur aanteseed ke tor par bhi kela dost bacteria ki hifazat karta hai aur maiday ke alsar seenay ki jalun aur tezabiyat se bachata hai.
Dight Ghiza:
Agar aap apne wazan ko kum karna chaah rahi hon lekin aap apne meethay ki talab par qaboo nah pa sakain to aap kelay ki mithaas par aa jayain yani kelay se apni yeh talab poori karain, yeh kum calories phal hai lekin es mein pani kum aur fibre ziyada hai jis ki wajah se aap ka haazma kuch sust ho jata hai aur esi binaa par aap ko baar baar bhook nahi lagti aur khanay ki talab kum hoti hai.
Nazar Ki Taizi:
Vitamin ae aur beta ceroteen ka bunyadi zareya honay ki wajah se kela aap ki aankh ke qrniah ki roshni ko dorust rakhta hai aur aap ki nazar ko bhi sahi rakhta hai es ko khanay se aap ki nazar taiz hoti hai.
Un sab khususiyaat ko parh kar pata chalta hai ke kelay mein qudrat ne kitni saari ghizaiyat posheeda rakhi hai yeh aik sasta phal hai jo ke har aik ki pohanch mein hai ( ramadaan ke ilawa ) yeh hamari poori jismani sehat ke liye aik ahum phal hai jis ke ahum ghizai ajzaa cancer ki bhi rok thaam karte hain es mein mojood fibre ki barri miqdar aant ke cancer se mehfooz rakhti hai es mein mojood iron jism se haemoglobin ki kami ko poora karta hai es mein mojood calcium hadion ko mazboot karta hai kela khanay se garmiyon ke mausam mein jism thanda rehta hai es ke ilawa bukhaar honay ki soorat mein bhi yeh jismani hararat ko kum karta hai kelay ke baare mein kaha ja sakta hai ke yeh qudrat ki taraf se hamaray liye aik inaam hai, es ki bharpoor ghizaiyat jism mein tawanai ki kami ko dor kar ke usay sehat aur tandrusti ataa karti hai yeh ghareeb aur Ameer dono mein yaksaa maqbool phal hai es liye kaha ja sakta hai ke kela sirf bndron ki ghiza nahi.